JG
Jasz Gill
27quotes
Quotes by Jasz Gill
Jasz Gill's insights on:
"
Uske rangon main se ek rang udhaar maang kar..sochta hoon aasman ka rang abb surkh kar doon...
"
Safar main hai jo kab se kahin woh hawa toh nai...Kiwaaron se pocho kahin woh dastak se khafa toh nai...Ayeney main jo nazar aata hai aur nai bhi...Mera ek aks meri hi nazaron se chupa toh nai...
"
Aatish hoon toh jaley bina bujhney wala nai hoon...Parta rahoonga falsafa-e-zindagi aakhir tak...Main kisi ek warq par rukney wala nai hoon...Tootney ke khauff se waqif hoon raqeeb ki tarah...Magar yakeen rakhta hoon ke bikharney wala nai hoon..Manzil ko kabhi issi shauq se taih hi nai kiya...Jaanta hoon,Main kisi ek meel pathar par thehraney wala nai hoon...
"
Shauq-e-parwaaz ne zinda rakha hai abb tak..Warna bhoj mujh par bhi hain bahut halaat-e-hayat ke..
"
Kabhi Kabhi isi khumaar main dekh leta hoon sitaron ko..Woh bhi mujhe dekhney ki aarzoo main jal rahe hongey..
"
Tere mann aur meri baat ka..faasla taih hi nai hota...Inn vaadon se mulaqaat ka...faasla taih hi nai hota...
"
Kabhi dekh khud ko bhi shauq-e-mohabbat se,Vaise toh duniya main tere talabghar bahut hain..
"
Samundhar se pooch raha hoon uski dayar kya hai...Jaise aashiq khuda se pooche khumaar-e eshgh ki wajah kya hai...Mudda ek kaash se lekar doosre kaash tak ka hi toh hai..Toh kabhi zahir kar mijaaz main teri raza kya hai...
Showing 1 to 10 of 27 results